kaisekyakare.in

Lifestyle

Aloe Vera For Hair in Hindi

Aloe Vera For Hair in Hindi

Aloe Vera For Hair in Hindi

Jaise ki humse sabhi Aloe Vera ke bare me janta hai or uske ke fayde bhi. To aaj hum aapko batayenge “Aloe Vera For Hair in Hindi”. loevera kewal hamari sehat ke liye hi nahi hamare hair ke liye bhi bahut accha hota hai. Ye hamare hair ko majboot, kala or ghana bnane me bahut upyogi hai. Aloe vera for hair in hindi me hum aapko aloe vera ko hair ke liye kese istemaal karte iske baare me batayenge.

Yebhi padhe ab tak isse 1 lakh se jayada log padh chuke hai: Aloe Vera Ka Istemal Kaise Kare

Use of Aloe Vera for Hair in Hindi

Aloe Vera hamare hair ko majboot banane me kaam aata hai. Iske niyamit istemaal se hum apne hair ko ghana or kaala bana sakte hai, aloe vera for hair ke liye tarike hum aapko bata rahein :

  1. Aloe vera gel lekar ismein 2 chamach methi ke bich, 2 spoon castor oil or 1 spoon tulsi powder mila kar paste taiyar karlein, ab is paste ko raat ke samay apne hair me acchi tarah se laga lein, hair ko shower cap se dhakkar so jayein, ab subha uthkar apne hair ko shampoo se dho lein, is tarike se aapke baal majboot banenge.
  2. Aloe vera gel ko hair me lagakar rakhein. Kuch samay gujarne ke baad apne baal acche se dho lein. Isse ganjapan nahi aayega or baal shine karenge.
  3. Aloe vera ka juice bana kar isme nariyal, gehu, tel or doodh milakar ek paste taiyaar kar lein. Abb isse paste ko hair mei shmapoo ki tarah lagakar hair ko dho lein. Isse hair ki problems dur ho jayengi.

Aloe Vera Uses for Hair in Hindi

Aajkal badhte pollution ki wajah se har kisi vyakti ko hair ki tarah tarah ki samasya se gujarna padta hai. Kisi ko dandruff ho jata hai, to kisi ke hair me rukhapan. Inn sabhi samasya ka kudrat ne hume ek rambaan upchaar diya hai aloe vera ke roop mein. Jaaniye aloe vera uses for hair in hindi is article mein or hair ko bnaiye majboot or sabhi samasya se dur

  1. Aloe vera ka guda nikalkar isme nimbu ka ras mila lein. Ab iss ghol ko hair mein 20 ke liye lagakar rakhein. Ab baal dho lein, isse hair mein rusi nahi aati.
  2. Apne regular shampoo mein aloe vera ke gel ki dugni matra mila lein. Ab isse apne hair ko dhoiye. Isse baal majboot, ghane or shiny bane rahenge.
  3. Aloe vera se uska gel nikalkar isme 2 spoon javakusum ke foolo ka paste mila lein. Ab iss paste ko apne hair par laga lijiye. Isse baal ghane hote hai.

Aloe Vera Ke Fayde Hindi Me

Ab tak aapne aloe vera ko hair me kese ya kis tarah lagate hai ye to pta kar liya hoga. Yha ab hum aapko Aloe Vera Ke Fayde Hindi Me batayenge. Aloe vera ke bahut sare faayde hote hai, jaaniye kya hain aloe vera ke faayde :

  1. Aloe vera se hair majboot hote hai.
  2. Isse baal ghane bane rehte hai or hair ki growth dugni ho jaati hai.
  3. Hair ka rusipan ko aloe vera se khatam kiya ja sakta hai.
  4. Dandruff ko hatane ke liye aloe vera karagar hai.
  5. Aloe vera ke use se hair me shine aati hai.
  6. Hair me khujli se bhi aloe vera chutkara dilata hai.
  7. Hair ka jhadna rukta hai.

Leave a Reply

%d bloggers like this: