Aaj ke humare iss post ka naam hai “Bhim App Ki Jankari“. Jese ki hum logo ko pta hi hai ki Bhim Application bharat sarkar dwara chalu ki gayi suvidha jis ke jariye aap transection yani ke len-den kar sakte hai or jese ki bhim app se aap apne bank account ka balance cheack kar sakte hai. To niche hum aapko Bhim App ki puri jankari bataynge jese ki bhim app se kitne paise bhej sakte hai, bhim app kaise use kare or bhi jankariya.
Bhim App Ki Jankari
Bhim app se judi sabhi jankari ko humne alg alg heading deke smjaya hai jisse apko Bhim App ki jankari asani se ho.
Bhim App Full Form in Hindi : Bhim app ki full form kafi kam logon ko hi maalum hai. Bhim App ki full form hoti hai Bharat Interface for Money. Agr aapko humara post bhim app ki jankari pasand aaye to share jarur kare.
Bhim App Kaise Use Kare
Agar aapka bhi yahi sawal hai ki Bhim app kaise use kare to hum aapko batade ki bhim app use karna bahut hi asaan kaam hai. Isko sarkar ne bahut hi sadharan rakha hai taaki har trah ka insaan isko chala sake asani ke sath. To aaiye hum aap ko batate hai bhim app use karne ka tarika.
- Sabse pehle to aap apne mobile ke app store mein bhim app search karke ise install kar lijiye.
- App install hone ke baad, bhim app kholiye, waha aap ko phone number se register karne ka option milega.
- Aap apna wo wala number register kraiye jo aapke use me ho or uss number ko aapne kisi bank account se attach karaya hua ho.
- Jab aap apna number register karne ke liye dalenge to aapke ussi number par ek OTP code aayega.
- Otp code dalne ke baad aapka phone number register ho jayega. Ab aap bhim app ka fayda uthane ke liye aap tayaar hai.
Bhim App Se Paise Kaise Kamaye
Ji haan aap bhim app se paise kamma sakte hai. Bhim App Se Paise Kaise Kamaye sochiye mat niche padhe kyunki bhim app se aap Referal Code sydtem se paise kama sakte hai :
- Bhim App me aapko apne dost ko referral code send karke kamaye paise.
- Agar wo aapke referral code use karke koi transaction karta hai to aapko kuch paise mil jate hai.
- Yaad rakhe aapke dost jitna aapke referral code ka istemal karenge aapko utne jyada paise milenge
- Iske alawa or koi tarika nahi hai bhim app se paise kamane ka.
Bhim App Se Mobile Recharge Kaise Kare
Ye ek pechida sawal hai ki bhim app se mobile recharge kaise kare kyunki iss bare me alg-alg websites par ghuma firake batay jata hai. Hum apko yeh saaf-saaf batade ki bhim app me mobile recharge ki koi suvidh upladh nhi. Ye app keval transaction (len-den) ke liye bna hai.
Bhim App Se Paise Kaise Bheje
Bhim app ki khas baat ye hai ki ye har tarah ke bank ko support karta hai, yani ki iss baat se koi farak nahi padta hai ki aapka account kis bank me hai. Aap iss Bhim App ka bharpoor fayda utha sakte hai. Ab hum aapko btayenge ki bhim app se paise kaise bheje.
- Sabse pehle aap apne phone me internet chalu karle.
- Ab apne phone me BHIM APP khole.
- Bhim App kholne ke baad, wha diye gaye option Transfer Money ya Add Money par click kare.
- Ab aapko jis kissi ke bhi account me paise bhejne hai uska mobile number ya bank account number dale or aage badhe.
- Ab apko jitne bhi paise bhejne hai utna amount dalde.
- Ab aage proceed par click kare.
- Ab aapke mobile number par ek 4 se 6 anko ka OTP Code ayega uss code ko dalde.
- Ab transfer money ko confirm karde.
- Lijiye kitna aasaan tha bhim app se paise kaise bheje ke tarike.
Bhim App Se Kitne Paise Bhej Sakte Hai
Agr wakayi me janna chahte hai ki bhim app se kitna paisa bhej sakte hai to kahi or na jaaye kyuki humari niche batayi gayi suchna 100% sahi hai.
- Bhim app ke dwara aap utne paise bhej sakte hai jitni aapke debit card ki pratidin len-den ki limit hai.
- Jese ki agar aapka debit card din me sirf 20000 rupee bhej sakta hai to bhim app ke dwara bhi aap sirf itne hi paise bhej sakte hai.
- Apne Debit or Credit Card ki limit janne ke liye apne bank branch me jake pta kare kyuki har ek khata dharak ki paise bhej limit alg-alg hoti hai.
- Tip : 1 rupya se lekar 1 lakh rupee tak ke len-den me koi extra charge nahi lagta.
Bhim App Ke Fayde
Bhim app ke bahut sare faayde hai, ye baki money wallet app se bahut alag hai. To chaliye aapko batate hai bhim app ke fayde :
- Ye bahut hi user freindly or easy to use app hai, sath hi sath ye bharat sarkar ka adhikarik application bhi hai.
- Bhim app baki mobile wallet se isiliye alag hai kyunki ye sirf paise transfer karta hai ek account se dusre account tak.
- Iss app ko aap 24/7 ghante use kar sakte hai, kahi bhi or kabhi bhi.
- Iss app se paise ek sath transfer ho jate hai bina deri ke, matlab aapko intejaar nahi karna padega.
- Iss app ke madad se aap apne bank account ka mojuda balance bhi check kar sakte hai.
- Iss app se aap ek se jyada account se pese transfer kar sakte hai. Lekin ek baar me aap kewal ek account hi use kar sakte hai.
1 Pingback