kaisekyakare.in

Lifestyle

Din Ki Shuruat Kaise Kare | 10 Interesting Tips

Din Ki Shuruat Kaise Kare

Din Ki Shuruat Kaise Kare

Din Ki Shuruat Kaise Kare : Aaj ki generation ki sabse badi dikkat ye hai ki unka din bhar mood kharab rehta hai. Din bhar unko sir dard or chidchidapan rehta hai, to aaj ka humara post hai “din ki shuruat kaise kare”.

Kul milakar unka poora din aise hi gujar jata hai or raat ko wo yahi soch soch kar pareshan rehte hai ki unka aaj ka din kharab gya. Din kharab hone ki shuruwat hoti hai subah ki kharab shuruwat se. Iss generation ke baccho ko yahi nahi pata ki din ki shuruat kaise kare to aaiye jante hai ki din ki shuruwat kaise karein or subah uthkar kya karein.

Naye Din Ki Shuruaat

Din Ki Shuruaat : Din ki shuruaat acchi karne ke liye jahir hai aapko subah uthna padega kyunki “naye din ki shuruaat” to subah se hi hoti hai.agar aapki subah acche se gujarti hai to yakeen maniye ki aapka pura din accha gujrega.to aaiye jante hai ki “naye din ki shuruaat”.

Naye Din Ki Shuruaat Ke Liye Tips

  1. 4 se 5 baje uthiye,uthne ke baad aankh band kiye hue bhagwaan ka naam lijiye or apne mata-pita ka naam lijiye.bhagwaan or mata pita ko iss naye din ke liye thankx boliye.
  2. Aankh band rakhkar apni hatheliyon ko ragad kar dono aankhon par rakhte hue aankhein kholiye or uske baad dharti chuhiye.
  3. Ab khoob sara paani pijiye or fresh ho jaiye,fresh hone ke baad muh-hath dho lijiye thande paani se, isse aapko taazgi ka ehsas hoga.
  4. Ab aap subah subah ki taazi hawa mein tehelne nikal jaaiye.koshish kijiye ki aap subah ko nange per ghaans par ghume.usse aapke sharir mein positive energy paida hogi or mann khush rahega.
  5. Subah uthkar bhagwaan ki pooja karne se bhi sharir mein positive energy aati hai or mann shant hota hai isiliye subah ko naha-dhokar bhagwaan ki pooja kijiye.
  6. Bhagwaan ki pooja ke baad ab aap apne din ka karya shuru kar sakte hai.koi bhi aisa kaam kijiye jo aapko pasand ho,jise karne se aapka dil khush hota hai ho.
  7. Ye sabhi hai naye din ki shuruaat ki tips.

Din Ki Shuruwat

Shuruwat : Ab niche padhe kuch bate or tarike jinke jariye aap apni “Din Ki Shuruwat” avhi kar sakte hai apna pura din mangalmay bitaa sakte hai :-

Din Ki Shuruwat Morning Walk Ke Sath

Din Ki Shuruwat : Subah tehelne ke fayde bahut sare hai.to aaiye jaante hai subah tehelne ke kuch fayde.

  1. Subah uthkar tehelne se hamara mann tarotaaza ho jata hai, dil ko khushi milti hai or dimag shant hota hai. Ye ek alag hi ehsas hota hai.
  2. Subah ko tehelne se hamare khoon me oxygen ki matra badhti hai, Jiski madad se khoon pure rehta hai.
  3. Subah uthkar tehelne se blood pressure control me rehta hai. Jis kisiko blood pressure ki problem hoti hai unke liye subah tehelna laabhdayak hai.
  4. Subah ko uthne se hamara aalasya ya tiredness dur hota hai or body me din bhar energy bani rehti hai.
  5. Subah ko tehelne se hamare face par chamak aati hai, aankhon ke kaale gehre dur hote hai or aankho ki roshni bhi badhti hai.

Din Ki Shuruat Kare Apni Photo Dekh Ke

Din Ki Shuruat me kiska photo dekhna chahiye? ye sawal sunte hi bahut logo ke mann me jawab aa raha hoga ki subah ko to bhagwaan ki photo dekhni chahiye, lekin iska jawab ye nahi hai. Hume subah uthkar apni ek muskraati hui photo dekhni chahiye, isse aapko self motivation milega, or aapko aapki iss muskurahat ko banaye rakhne ki prerna milegi, to aaj se hi apni life mein ye rule bana lijiye ki subah uthkar aap apni muskurati hui tasveer dekhenge.

Din Ki Shuruat Ache Khane Ke Sath

Bahut sare nojawan subah nashte mein bhi kuposhit aahar ya unhealthy food lete hai, jiski wajah se unka pura din kharab jaata hai,chaliye aapko batate hai ki nashte mein aapko kya khana chahiye :

  1. doodh ke sath brown bread
  2. doodh ke sath aamlet
  3. boiled eggs
  4. doodh ke sath anjeer
  5. daliya
  6. missi ke paranthe
  7. doodh ke sath kele ya fir kewal kele ka shake,etc.

Leave a Reply

%d bloggers like this: