Aaj ka humara vishey hai Domain kaise Kharide, Domain Name ek website bnane ke liye bahut jaroori hota to aaj hum aapko btayenge ki “godaddy se domain name kaise kharide” or “bigrock se domain kaise kharide”. Sath hi sath hum unn logo ko ye bhi btayenge ki “domain kya hota hai” jinhe domain ke bare koi jankari nahi hai. So humara ye article ka English me anuwad hai How To Buy A Domain Name.
Domain Kharidne Ke liye yha click kare : Entachi Domain & Hosting Service
Domain Kya Hota Hai in Hindi
Domain kya hai in hindi : Domain name sabse pehla step hota hai kisi bhi online website banane ke liye. Aksar log online search karte rehte hai ki domain name kya hota hai, jese ki hume apna business karne ke liye Firm Registration krana padta hai ussi treh online kaam karne ke liye domain name registration krana padta hai.
Godaddy Se Domain Name Kaise Kharide

Godaddy Se Domain Name Kaise Kharide
Godaddy Kya Hai : Godaddy ek Multi National Company hai jo ki online Hosting or Domain Name ki service provide karati hai. Aap me se bahot logo TV par advertisement dekha hi hoga online domain for Rs.99 .
Godaddy Se Domain Name Kharidne Ke Tarike
- Sabse pehle to aap ko www.godaddy.com ki site kholni hogi.
- Godaddy ki site kholne ke baad wahha domain name search karne ke option hota hai.
- Wahhan wo domain name likhe jisse aap khridna chahte hai, domain name likhne ke baad search pr click karde.
- Ab godaddy ki site agr aapka domain name uplabdh hai to wo aapko btadega agr nhi hai to wo aapko usse related kuch name suggest krega.
- Ab aapko jobhi domain khridna hai, uske bagal me diye gaye Add to Cart ke button par click kare.
- Ab upar ki trf diye gaye button Continue to Cart ke button par click kare.
- Click karne ke baad wahha new window open hogi, wahan par aapko choose karna hoga ki aapko domain kitne time ke register karana hai.
- Choose karne ke baad aapka Proceed to Checkout par click kare.
- Ab aapko apne account me login karna hoga, agr aapke paas godaddy account nhi hai to niche diye gaye button Create an Account par click kare.
- Account me login karne ke baad ya account bnane ke baad aapko kuch basic details bharni hogi.
- Ab niche ki aur aapko apne bank Credit Card ya debbit card ki details likhni hogi.
- Uske baad checkout par click karde.
- Ab new window open hogi or wahhan apko OTP enter karna hoga. OTP aapke Bank Account se judde huye phone number aayega.
- Ab OTP dalke aage proceed kare. Esa karne ke baad aapke godaddy account se domain name register ho jayga.
- Ab aap apne iss domain name se apni website ya fir android app or bhi aadi banna sakte hai.
- To ye the godaddy se domain kharidne ke tarike.
Bigrock Se Domain Kaise Kharide

Bigrock Se Domain Kaise Kharide
Bigrock Domain : Bigrock bhi godaddy ki treh ek domain & hosting service provide krata hai.
Bigrock Se Domain Name kharidne ka Tarika
- Sabse pehle to aap Bigrock ki site par jaye www.bigrock.in
- Ab wahhan aapko jo domain name kharidna hai usse search kare.
- Agar aapki domain name available hai kharidne ke liye to uske bagal me diye gaye button Choose par click kare.
- Ab aapko yeh choose karna hai ki aapko domain name register kitne year ke liye karana hai.
- Domain year select karne baad niche gaye option Next par click kare.
- Ab aapko apne Bigrock account me login karna hai or agar aapke paas bigrock ka account nahi hai to left hand side Creat an account in 10 second ke niche diye gaye Continue par click kare or apna Big Rock Account Bannaye.
- Ab account me login karne ke baad aapko Domain Registration ke loiye payment karna hoga.
- Payment karne ke liye aapko apne Bank Credit Card, Bank Debit Card, Visa Card, Master Card, Paytm, Airtel Money ke jariye bhi payment kar sakte hai.
- Ye the tarike bigrock se domain kharidne ke.
Click kar ke jane inn sabhi Debit Card Se Payment Kaise Kare.
Domain kaise Kharide
1 Pingback