Ek Phone Me 2 Facebook Account : Aaj ka humara vishey hai “Ek Phone Me 2 Facebook Account Kaise Chalaye”. Aajkal ke naye dor me har wo insaan jiske paas smartphone hai wo aapko facebook par mil jaayga or aamtor par logo ke facebook par 1 se jyada accounts dekhne ko mil jaate hai. Par samasya yeh hai ki aap facebook app ke jariye ek baar me kewal 1 hi facebook account chala sakte hai or dusra account chalane ke liye aapko pehle wale account ko log out karna padega or dusra account log in karna padega. Jo ki bahut samay lene wala or bekar tarika hai.
Iss samasya se chutkara dilane ke liye hum aapko btaynge ki ek phone me 2 facebook account kaise chalaye.
Clivk kare or Jane:
Ek Phone Me 2 Whatsapp Kaise Chalaye
Ek Phone Me 2 Facebook Account Chalane Ke Liye Apps
“Ek phone” me do facebook account chalaane ke liye aapko jin apps ki jarurat pdegi wo hai :
- Facebook App
- Facebook Lite App
- Facebook app se to aap sab parichit hi honge. Facebook lite app facebook app ka hi ek chota version hai.
Ek Phone Me Do Facebook Chalane Ka Tarika
Aaiye aapko btate hai ki ek phone me do facebook account chalane ka tarika upar diye gye apps ki madad se :
- Sabse pehle to aap apna mobile data on kijiye or google play store open kijiye
- Google Play Store me jaakar search box me facebook likhiye
- Facebook App install kijiye or facebook app install krne ke baad search box me facebook lite likhiye or iss app ko bhi install kijiye
- Dono applications ko install krne ke baad facebook app me apni phli id log in kijiye or facebook lite app me apni dusri id log in kar lijiye.
Ab aap apni dono facebook id ko ek sath istemaal kar sakte hai. Iss prakar se aap apne phone me do facebook account chala sakte hai ek sath.
Iss tarike se aapko koi bhi id log out krne ki aavashyakta nahi pdegi. Inn dono apps yani ke Facebook App or Facebook Lite App kr jriye ek sath ek phone me 2 facebook account use kar sakte hai.
1 Pingback