Manav Adhikar : Kya aapko pata hai bhartiya sanvidhaan dwara aapko kon konse adhikar mile hain? or un sabhi manav adhikar ko aap kese istemaal kar sakte hai ya unke ullunghan se aapko kis saja se gujarna pad sakta hai. Agar nahi to iss post mein hum aapko denge Manavadhikar ki jankari or “essay on manav adhikar in hindi”. Sath hi sath hum aapko batayenge manav adhikaar ki avdharna or manav adhikar ke ullunghan ke baare mein.
Manavadhikar in Hindi pdf
Manavadhikar ka ek apna alag ithihaas hai. Bharat me manavadhikar hetu kai karya shuruwat se hote chale aa rahe hai. 1829 me raja ram mohan roy ne bharat me shuruwat se chali aa rahi sati pratha (ismein mahilayon ko apne pati ke shahid hone ke baad aag me kudkar jaan deni padti thi) ko rukvaya or mahialaon ko unka adhikar dilaya. Aise 1929 me baal vivaah nished adhiniyam me 14 saal se kam umar ke baccho ki shaadi par rok lagayi gayi or baccho ko adhikar dilaya gaya. Humare manav adhikar hume azaadi dilaane ke liye banaye gaye hai.
Manav Adhikar Par Kavita
Manav Adhikar Par Kavita jal uplabdh krayenge.
Manav Adhikar Ki Jankari
Manav Adhikaar hume azadi dilati hai jaativaad se, dharmvaad se. Mahilaon ko bhi unko adhikar diye gaye hai jinki wajah se aaj unse koi dahej ke liye jabardasti nahi kar sakta ya unhe pratarit nahi kar sakta, ityaadi. Agar aaj hume kahi bhi bolne ki azaadi hai ya hume apne vichaar rakhne ki azaadi hai to wo sirf manav adhikar adhiniyamo ki wajah se. Ab aap ye chun sakte hai ki aap kis neta ko apna desh sopna chahte hai kyunki aapke ke paas chunne ka adhikaar hai. Manav adhikar ki jankari na hona aapke liye nuksaan hai to isliye ki agar aap sath kahi bhedbhaav ho raha hai to aap manav adhikar ka istemaal karke unke khilaaf shikayat darj karakar unhe saja dila sakte hai, par jab aapko manav adhikar ki jankari hi nahi hogi to ye kaam aap kese karenge.
Manav Adhikar Ke Prakar
Manav adhikar ko kai hisso me baata gaya hai. Jaativad, Dharmvaad, Nasalvaad ya Lingvaad har tarah ke bhebhaav ko rokne ke liye manav adhikar ke prakar bnaye gaye hai. Isme hume kuch fundamental rights mile hain jo har bharitya ko saman roop se mile hain, aaiye manav adhikar ke prakar ke bare me vistaar se jante hai.
- Bolne ka haq, hum iss adhikar se hum kahi bhi kabhi bhi apne vichaar rakh sakte hai or kisi se bhi bol sakte hai.
- Right to Equality ya samaanta ka adhikar, iss adhikar ke tehat sabhi manushya ek saman hai or agar aapke sath kahi bhebhaav hota hai to aap uske khilaaf awaaz utha sakte hai.
- Right to freedom ya swatantrta ka adhikar, iss adhikaar se hum bolne ke liye, samuh banane aadi chijein karne ke liye swatantra hai.
- Dharmik swantrta ka adhikar (right to freedom of religion), iss adhikar ke tehat sab dharam ek saman hote hai, kisi bhi dharam ke vyakti ke sath bhedbhaav karna dandnayak hai.
- Sanskriti or shiksha se sambadh adhikar (cultural and educational rights) ke tehat shiksha lena hamara haq ban jaata hai.
- Sanvedhanik upchaaro ka adhikaar (right to consitutional remedies) ke tehat hum constitution me bharpoor yogdaan de sakte hai ya le sakte hai.
- Shosan ke virudh adhikar (right against exploitation), iss adhikar ke tehat hum apne upar ho rahe shosan ke khilaaf aawaz utha sakte hai.
Manav Adhikar Ki Avdharna
Manav adhikar ki avdharna hamare mool adhikaro par hi aadharit hai, har ek bhartiya saman najar se dekha jaaye or uske sath saman bartaav kiya jaaye yahi manav adhikaar ki avdharna hai. Koi kisi ke atyachaar ka aadhin na ho, har kisi ko bolne ka haq ho. Yahi manav adhikar ki avdharna hai. Iss dor me hum kisi ke gulaam nahi hai or naa hi hume kisi ki gulaami me jeene ki jarurat hai kyunki ab hamare paas adhikar hai jinke tehat hum bhi sabke sath ho rahe vyavhaar ke hissedar hai or sarkaar ya koi vyakti humare sath bhedbhav nahi kar sakte yahi hai manav adhikar ki avdharna.
Manav Adhikar Ka Ullanghan
Agar humare paas manav adhikar hai or hum use kisi ke khilaaf istemal karte hai to agar aap manav adhikar ka ullanghan karenge to koi aapke khilaaf bhi unhe use kar sakta hai. Manav adhikar ka ullanghan nimin prakar se hota hai.
- Agar hum kisi ke sath jaatiy bhebhaav karte hai.
- Hum kisi ke sath dharmik bhedbhaav karte hai ya uske dharam ke bare me galat bolte hai.
- Agar hum kisi mahila ya purush ke sath bhedbhaav karte hai.
- Kisi par atyachaar karte hai ya unki awaaz dabane ki koshish karte hai.
- Rashtra virodhi sanghatan banate hai ya rashtra virodhi harqat karte hai.
- Apne adhikar ka galat istemaal karte hai.
Importance of Human Rights in Hindi
Manav adhikar atarth human rights hamari jindagi mein bahut hi mehtavpuran hai. Isiliye hume inki jankari hona bhi bahut jaruri hai, agar aap nahi jaante ki humar rights aapke liye kyun important hai to janiye importance of human rights in hindi.
- Agar aap kisi bhi tarah ka bhedbhaav mehsus karte hai to aap inke istemaal se doshiyo ko saja dila skte hai.
- Agar koi aapki awaaz dabane ki koshish karta hai to aap unko saza dila sakte hai.
- agar aapko lagta hai ki aapki azadi cheen li gayi to aapke pass azaad hone ke adhikar hai.
- Aapke paas apni sarkaar chunne ka adhikar hai.
- Aapko apnee vichaar rakhne ka moka milta hai.
- Aoi bhi vyakti aapke na chahte hue, jabardasti kisi kaam ko aapse nahi kara sakta.
Human Rights Day Speech in Hindi
Hum jald iss coulam ke liye content jaldi hi uplabdh krayenge Human Rights Day Speech in Hindi.
Types of Human Rights in Hindi
yha hum aapko bhartiya savidhan ke kuch mool prakar btayenge jinhe hum fundamental rights bhi kehte hai, ye rahe types of human rights in hindi.
- shosan ke virudh adhikar (right against exploitation).
- sanskriti or shiksha se sambadh adhikar (cultural and educational rights).
- sanvedhanik upchaaro ka adhikar (right to consitutional remedies).
- dharmik swantrata ka adhikar (right to freedom of religion).
- samanta ka adhikaar (right to equality).
- swantrata ka adhikar (right to freedom).
Leave a Reply