Facebook Chalane ki Complete Jankari : Aaj kal ke badalte daur me har insaan ek dusre se juda rhene ke liye facebook ka istemal kar rhe hai. Or abhi humare kuch bhai hai jinko facebook chalane me dikkate aati hai to aaj hum btayenge ki “Facebook Kaise Chalate Hai”
Facebook Kaise Chalaye : Aaj kal ke badalte daur me har insaan modern hota jaa rha hai. Iska saaf saaf udharan hai social media platform par user ki badhti bheed. Iss naye daur me har koi ek dusre se jude rehne ke liye facebook ka istemal kar rha hai. Or jab social media ki bbat hoti hai sabse pehle naam aata hai facebook ka jiska istemaal duniya bhar ke krodo log kar rahe hai. Parantu abhi bhi kai log iske istemaal se vanchit hai. To aaiye hum aapko bataate hai ki facebook kaise chalaye wo bhi hindi me.
Mere Dost Ye Bhi Padhe : Ek Phone Me 2 Facebook Account Kaise Chalaye
Facebook Kaise Chalaye Jati Hai
Abhi bhi bahut sare log aise hai jinhe ye nahi pata ki facebook kaise chalaya jata hai. Iss post me hum unn logo ko sikhayenge ke facebook kaise chalta hai. Sabse pehle to aap log apni facebook id log in kar lijiye. Jab aap log apni id Login kar lenge to aapke saamne sabse pehle khulegi aapki timeline. Aapki timeline par wo sab chije dikhai jaati hai jo aapse facebook par jude logo ne upload ki hongi ya unse judi koi bhi nayi khabar. Apni timeline ko refresh karne ke liye timeline wale logo par click kijiye to aapki timeline refresh ho jaaygi.
Facebook Par Chat Kaise Karte Hai
Facebook me aapko apne friends or family member se chat karne ki suvidha di jaati hai jiski madad se aap facebook se jude kisi bhi friends se Chat kar sakte hai. (Chat ka matlab ki Baat Karna)
- Facebook par chat karne ke liye aap chat wale button par click kijiye
- Ab jis friends se baat karna chahte hai uske naam par click kijiye.
- Phir aap use message bhej sakte hai.
- Message ke alawa aap facebook par Audio, Video, Image or anya tarike ki files bhej sakte hai.
Facebook Par Photo Kaise Dale
Facebook par photo dalna aaj kal ek trend sa ban gya hai. Jab bhi koi kahi ghumne jaata hai to wo sabse pehle facebook par photo daalta hai taaki sabhi log unka photo dekh sake. Facebook Par Photo Kaise Dale kaise tarike padhe niche:
- sabse pehle Add Photos par click kare.
- Uske baad aap photo ke baare me likh bhi skte hai.
- Likhne ke baad aap post button par click kar dijiye or photo ko upload hone dijiye.
- Photo upload hone ke baad aapki timeline par show hone lgegi or apke sabhi dosto ke pass notification pahunch jayga ki aapne facebook par photo dale hai.
- aap ek baar me ek se jyada photos bhi daal skte hai.
2 Pingbacks