
Aajkal ghar par face pack bnana bhut hi Aasan hai jo ki ekdum parlour wali finishing dega or Jise apki skin ka glow hmesha Barkrar rhega to chaliye btate h kese bnaenge hum ye face pack ghar par
Sabse acha face pack konsa hai
Sare hi face pack apni apni jagah bhut ache hote h pack depend karta hai hmari skin par ki hmari skin dry hai ya fr oily hai to chaliye btate h apke lie konsa pack rhega sbse best
oily skin ke lie face pack
Oily skin se prshn log ab koi chinta ki baat ni hai hum apko aaj ek aesa face pack btaenge jo apki skin ko oil se bilkul dur rkhega or apki khubsurati ko bdhega uske lie apko follow krne honge ye sare niche btae hue steps
Step:1 Sbse phle aap ek bowl mai 2chamch fresh aloevera daale
Step:2 bowl mai daale aloevera mai 2chutki haldi powder mix kijiye
Step:3 uske baad usme 4 se 5 drop gulabjal ki mix kijiye
Step:4 pack ready krne ke baad ap ise 20min tak face pr lgakr rkhiye or uske baad thnde pani se face ko wash kijiye
face pack fair skin lie
Hum is face pack ko 1hafte mai 2 baar lga sakte hai Jose ki hmari skin ka color fair hoga kyuki fresh aloevera hmare face se oil ko kam karne mai help karti hai or haldi se face ka glow bna rhta hai islie hum 2 baar use kar skte hai
Besan face pack kaise bnae
Dry skin ke lie hum apne face pr honey use krenge jo ki hmare dry skin k lie sbse best hai or mostly apne face ko milk se wash kre pani se wash krna avoid kre Jise apke face pr dryness kafi kam hogi to chaliye ab hum btate h face pack kese bnae dry skin k lie
Step:1 ek bowl me 2chamach besan lijiye
Step:2 usme 1chamch dahi milae
Step:3 dono ko mix krke 1/2 chutki haldi milae
Step:4 usme 1 chamch honey milae
Step:5 pack ko bnakr use 15 se 20min tak face pr lgae aur uske baad thnde pani se face ko wash kre
Face pack lgane ke baad kya use kare
Hume face pack use krne ke baad apne face ko hydration dene k lie sunscreen moisturizer use karna chahiye jo ki hmare face ko kafi hydrate krega or hmare skin ke pores ko blackheads hone se dur rkhega
Raat ka face pack kaise bnaye
Raat ko face pack bnane k lie hme apne face ko cotton lekr gulab jal se clean karna h or dairy cream mai nimbu ka ras milakr face pr puri night chorde or morning mai garam pani se wash karle..
Leave a Reply