Aaj hum charcha karenge or bateynge kuch behtreen Gharelu Nuskhe For Hair ke baare me. Aaj kal jyadatr sabhi log apne hair ke liye Gharelu Nuskhe online search karte rehte hai, or unhe apne hair ke liye koi khass gharelu nuskhe nhi milpate hai.
Badhte pradhusan ki wajah se hair yani ki balo ka jhadna ek aam baat ho gyi hai. Hair se judi samasya se jyadatar sabhi log preshan hai to niche padhe kuch behtreen gharelu nuskhe for hair ke bare me.
10 Gharelu Nuskhe For Hair
Har insaan aajkal jaldi se jaldi parinam paana chahta hai. To aaiye hum aapko batate hai kuch 10 Gharelu Nuskhe For Hair : Yeh bhi padhe aloe vera ke fayde balo ke liye.
- Sabse pehle to hafte me 3-4 baar apne hair shampoo kare. Yaad rakhiye ki 1 hafte me sirf 3 se 4 baar hi hair shampoo kare. Agr aap balo ko jyada dhoynge to isse aapki Hair Roots kamjor hojayngi.
- Amla, Reetha and Shikakai ko pani me glla ke rakhde jabtak weh mixture ek pulp type na ban jaye. Fir aap hair shampoo uss pulp se kare. Aapke baal Kale, Ghane, or majboot hojayenge.
- Hair shampoo ke baad balo ko towel se jayada ma ragde. Iss aapki hair roots kamjoor hojayngi.
- Never comb wet hair.
- Balo par hair dryer ya aise hi kisi anya upkaran ka istemal na kare kyunki inn sab upkarno ki wajah se kisi bhi prakar gharelu nuskhe for hair fayde nhi krenge.
- Balo ka tutna hmare khan-paan ki aadat par bhi nirbhar karta hai. Isiliye apni daily routine me hari sabji, fal, dal ityadi cheejo ko shaamil kijiye. Hari sabjiyo or falo me aise gun or poshak tatv paye jate hai jo aapke baalo ko Ghana karne me madadgar hote hai.
- Bahari pradhusan se bhi balo ko bachaye. Bahar jaate samay balo ko dhakkar jaiye taaki wo dhul, mitti, dhuein or anya trah ke pradhusan se bache rahe. Aap hair scarf ka bhi istemal kar sakte hai.
- Apni niyamit jindagi se tanav ko dur kare or subah uthkar yoga kare. Yoga karne se aap tanaw kam mehsoos karenge jisse balo ko Ghana karne me madad milti hai.
- Balo ko niyamit tor par behtreen hair oil se massage kare.
- Gharelu Nuskhe For Hair balo ko Ghana karne ke liye bajaar me bahut sare utpadh milte hai to unka chayan ache se hi kare.
(Hair) Balo Ko Ghana Karne Ke Gharelu Nuskhe in Hindi
Agar aap Balo Ko Ghana Karne Ke Gharelu Nuskhe janna chahte hai to hum aapko btayenge ghane balo ke gharelu nushke jiski madad se aap ghar pr hi apne balo ko ghana kar sakte hai.
- Gharelu Nuskhe For Hair : niche padhe
- Raat ko sone se pehle apne baalo me sarso ka tel lgaakar kuch der maalish karein. Sarson ke tel ko aam bhasa me kadwa tel bhi kha jata hai. Sarson ka tel lagane se baal ghane or chamkile bane rehte hai.
- Aap balo me pyaaj ka ras laga sakte hai. Iske liye aap 2-3 madhyam aakar ki pyaaj le or use mixer me pis de. Fir ek saaf cotton ke kapde se chaan le or halke hatho se balo me lagaye or 30 minute tak chod de. Pyaaj ka tel lagane se bhi humare baal ghane rehte hai or baal bacteria, fungus jese chijo se bache rehte hai.
- Baal ko Ghana bnaaye rakhne me amla bahut madadgar sabit hota hai. Amla ke taaze ras me nimbu or sehad mila kar baalo me lagaye or niyamit tor par amla ka sewan kare.
- Ek kacche ande ko todkar usme nimbu ka ras mila kar fet le or fetne ke baad thoda sa nariyal tel mila kar dobara se fet le, ab iss mishran ko apne baalo me aadhe ghante ke liye lagakr rakhe or fir shampoo se baal dho le.
Ye sab balo ko ghana rakhne ke liye gharelu nushke bahut hi asaan hai or bajar me badi hi asani se mil jate hai.
Best Oil For Hair
Baal ko Ghana karne ke liye bajar me bahut sare hair oil mojud hai jinki madad se aap apne balo ko ghana rakh sakte hai, to aaiye hum aapko btate hai best hair oil ke bare me.
- Trichup Hair Oil
- Sessa Hair Oil
- Livon hair gain oil
- Tresemme hair oil
- Gharelu Nuskhe For Hair
- Loreal hair oil.
2 Pingbacks