Agar aapko new gmail id banana hai or email id banane ka tarika janna chate hai to hum iss post ke madhyam se apko btayenge email address kaise banye ya google account kaise banaye. Ab aap confuse hogye honge “google account” me or “gmail id” tension na le google account or email address ek hi baat hai. To agr apko email id banani hai to humare niche btaye gye gmail banane ke tarike padhe.
Dhayan de : Gmail Id Kaise Banate Hain or email id banane ka tarika niche bataye hai.
Related to Gmail Id Create.
Computer Or Mobile Me Gmail Id Kaise Banate Hain
Agr aapko Mobile ya Computer new gmail id banana hai to tension na le yha hum dono devices par email id banane ka tarika btayenge or sath hi sath yeh bhi btayenge ki google account kaise khole. To chalte hai gmail id banane ke tarike ki aur:
Computer Par Email Id Banane Ka Tarika
Wese to computer par or mobile par gmail id banane ka tarika tarika lag bgh same hi hai yani ke ek jaise hi hai. To ab niche padhe tarike email address banane ke:
- Sabse phele to aap apne computer me Internet ki suvidha chalu karle.
- Ab apne computer me Internet Browser Khole.
- Internet browser par www.accounts.google.com ya www.gmail.com inn dono URL se ek hi page khulega.
- Ab ye link kholne ke baad jo page khula hoga udhr likha hoga Sign In, to wahi niche ki taraf likha hoga More Option. (Jaise Ki Pic-1 me hai)
- More Option par click kare, click karne ke baad wha option Create New Account uspe click karde. (Jaise Ki Pic-2 me hai)
- Create New Account ke option Par click karde
- Click karne ke baad new page aayga jis me aapko apni detail dalni hogi (Jaise Ki Pic-3 me hai)
- Ab apni puri detail bharde, apni puri jankari bharne ke baad yaad rakhe mobile no. wo dale jo aap uss waqt aapke pass ho chal rha ho.
- Puri jankari bharne ke baad Next Step par click karde.
- Ab new page open hoga jahha aapko OTP dalna hoga jo ki aapke daale huye Phone Number par Gmail ki taraf se message aaya hoga jisme 6 anko ka code hoga uss code aapko daalna hai.
- OTP dallne ke baad apka gmail account ban jaayga or aapka gmail id khul jaygi.
Mobile Par New Gmail Id Banana Hai Ke Tarike
Mobile par new gmail id banana hai to niche diye tarike padhe jinse aap badi asani se new email id or email address bna sakte hai.
- To jaise ki sabse pehle to aapko apne mobile me internet connection ko chalu karna hoga email id banane ke liye.
- Ab apne phone me internet browser open kare.
- Ab aapko uper diye gye 3 – steps se saare step istaml karne honge, kyuki email id banane ka tarika ek hi hai.
Google Account Kaise Khole
Jaise ki hum aapko upr bataye gye tarike se bata hi chuke hai ki google account kaise banaye to hum ab aapko btayenge google account ya gmail id kaise khole:
- Sabse pehle to apne mobile par ya compute me internet chalu kare.
- Ab internet browser ki madad se www.gmail.com khole.
- Ab whaa aapko api gmail id dalni hogi.
- Email id dalne ke baad Next par click kare.
- Ab apne gmail account ka password dale firse Next par click kare.
- Ab apka Gmail Account khul jaayga.
To iss post ke madhyam se humne aapko btaya ki Computer or mobile par Gmail account kaise bnaye yani ke Gmail Id kaise bnaye or Email Id bnane ka tarika. Or akhir me humne aapko batta hi diya ki google account kaise khole.
pankaj kumar
me kaffi din se pareshan tha ki gmail par account kese banaya jata h lekin ab maine apna account ise padkar bana na seekh lia h thank you. NICE,,,,
Mayank
Thank you humare article ko padhne ke liye. agr apko acha lga to share bhi kare.