Modernisation ki taraf badhte hue iss daur me internet ek bahut hi badi service ke roop me ubhra hai. Aajkal jyada se jyada log internet service se jud rahein hai, jude bhi kyun na, jis kaam ke liye aapko chalke jana padta hai, pasine bahana padta hai, petrol?. Diesel ke paise kharch karne padte hai, jab wo hi kaam internet ki madad se ghar par ho raha hai to internet se sab log kyun na judein. Aajkal ticket booking se food ordering tak har kaam online ho gaya hai. Agar aap internet ki duniya me naye hai or aap “internet chalu” karna nahi jaante to iss post mein padhiye internet chalu kaise kare puri jankari mobile or computer dono ke liye.
Mobile Me Internet Chalu Kaise Karein
Agar aapke paas koi phone hai jisme net chalane ki suvidha uplabdh hai to aap uss phone mein net chala sakte hai iss tarike se.
wi-fi se Internet Chalayein
Agar aap apne smartphone me wi-fi dwara net chalana chahte hai to aap ko ye steps follow karne padenge
- apne phone me ki setting menu kholiye.
- setting menu me wi-fi wala option diya gaya hoga uspr click kijiye.
- ab wifi ke switch button par click karke wi-fi on kar lijiye.
- wi-fi on karne ke baad scan button par click kijiye iske aapke aas paas ke network aap ke wi-fi mein show hone lagenge.
- apna pasand ke network se connect karne ke liye uske naam par click karein, agar ye network open hoga to tabhi connect ho jayega.
- agar netwwork secured hai to aapse password mangega, usme sahi password bharkar connect par dabaiye.
- ab aap ke phone me internet chalne lagega.
Data Connection Se Internet Chalayein
Agar aapke paas koi bhi wi-fi network nahi hai to aapne sim card ke madhyam se phone me net chala sakte hai :
- sabse pehle to ye jaachlein ki aapke number par data pack activated hai, agar nahi hai to apne najdiki sim vikreta ke recharge karakar apni pasand ka data pack activate kara lein.
- ab apne phone ki setting menu me jaaiye.
- setting me aapko mobile data ka option milega, us par click kariye.
- ab mobile dat ke switch par click karke data on kar lijiye.
- ab aapka phgone internet chalane ke liye ready hai.
Computer Me Internet Chaalu Kaise Karein
Mobile mein internet chalana ek asaan kaam hai lekin agar aapko computer par internet chlana hai to aapko thodi masshakat karni pad sakti hai. Jaaniye kis kis tarike se aap computer me net chala sakte hai.
Modem se Internet Chalayein
Modem ek internet chalane ke liye uplabdh device hoti hai jiski madad se aap computer par internet chala sakte hai.
- sabse pehle aapke modem device me data pack activated hona chahiye, agar usme data pack nahi hoga to net nahi chalega.
- ab iss device ko apne computer ke usb port mein connect kar dijiye.
- jab modem aapke screen par aane lage to us par click kijiye.
- ab modem ke liye apko ek application install karni hogi jo modem aapko khud provide karayega.
- install hone ke baad modem ke icon par click kijiye.
- ab data connect kar dijye.
- ab aapke computer mein internet chal jayega.
Lan Cable se Internet Chalayein
- sabse pehle aap apne najdiki internet provider se apne ghar mein LAN network ki cable lagwa lijiye.
- ab us cable ko apne computer me diye gaye LAN PORT se connect kar dijiye.
- ab aapka computer net chalane ke liye ready hai.
Leave a Reply