Ladkiyo se friendship karna ek tedhi kheer hai, yaha aapko bahut sambhal kar 1-1 kadam rakhna hota hai. Lekin problem yahi hai ki adhiktar ladko ko ye nahi pata hota ki ladki se friendship kaise kare. Agar aap bhi unn sabhi ladko me se ek hai, to ye post aapke liye hi hai, iss post ko padhne ke baad aap acche se jaan jaayenge ki ladki se friendship kaise kare.
Ladki Se Friendship Karne Ke Tarike
Jese ki humne pehle hi bola ki ladki se friendship karne ke liye aapko har kadam sambhaal ke rakhna padega,wo kadam kaise rakhne hai ye hum aapko batayenge.ab hum aapko batane jaa rahe hai ladki se friendship karne ke tarike.
- Sabse pehle aap apne layak acchi si ladki ka chayan karlein.
- agar aap har ladki ke piche bhagenge to aap ke hath kuch nahi aayega.
- Jis ladki se aap friendship karna chahte hai uske saamne sabke ke sath acche se,gentleman ki tarah behave kijiye,aapne movies me dekha hoga ki ladkiya gunde type ladke pasand karti hai par afsos aisa sirf movies me hota hai.reality me ladkiyon ko gentleman hi pasand aate, hai jo sab ke sath acche se behave karte hai
- Ladki se friendship karne ke liye aapko ladki ko ye mehsus karana hoga ki aap unme interest rakhte hai,agar ladki pen maangti hai to jaldi se usko pen de ya baar baar uski taraf dekhein,dhyaan rahe sirf dekhein ghure nahi,kuch jokes suna kar uski taraf dekhein ya aisa kuch bhi karein jisse ladki ko yeh lage ki aap use friendship karne me interested hain.
- Ab ye notice kijiye ki kya ladki bhi aap se friendship karne me interested hai.jese ki ye notice kijiye ki jab aap use dekhte hai to kya wo bhi aapko dekhti hai,jab aap uski help karte hai to kya wo aapki help leti hai ya nahi,aapke joke sunane par wo hasti hai ya nahi,aapko ignore to nahi karti,agar in sawalon ke jawab haan me aate hain,to hi aap aage badhe warna nahi.
- Ab dheere dheere ladki se baat karne ki koshish karein.sharmaye nahi or na hi koi ajeeb si punch line bolein,conversation shuru karne ke liye ek “hi” hi kaafi hota hai.
- Ladki se agar aapki baat shuru ho gayi hain to ladki se uske bare me puchein,ye janne ki koshish karein ki usko kya pasand hai or kya nahin.
- Agar ladki kisi topic par baat nahi karna chahti hai to use wahi chod dein or baat ko jyada lamba na khichein.
- Ab aap ladki se phone number wgera exchange karlein or phone se thodi thodi baat karna shuru karein.
- Dekhte hi dekhte,baat karte karte ladki se aapki friendship ho jaayegi.
Tution Ki Ladki Se Friendship Kaise Kare
Tution me kisi ladki se friendship karna kaise kare or bhi asaan ho jata hai. Esa isiliye kyunki tution me sabse pehle to bacche kam hote hain or aapko ladki ke sath bitane ke liye ek fix tym mil jaata hai, jis ke jariye aap asaani se tution ki ladki se friendship kaise kare niche padhe tarike :
- Tution me ladki se friendship karne ke liye bhi aapko upar likhe hue steps ko follow karna hoga.
- Tution me agar koi question pucha jata hai to koshish kijiye ki aap uska sahi answer dein,yaha aapko padhai par bhi mehnat karni padegi.
- Tution ke liye thoda jaldi aa jayein taaki aapko thoda time or mil sake ladki se baat karne ka.uss time mein aap ladki se kal diye gaye sawalon ke baare me puch kar conversation shuru kar sakte hain.
- Tution ki chutti hone ke baad thodi dur tak ladki ke sath jayein,or baat karne ki koshish karein.
- Tution me jyada oversmart na banein,jis sawal ka jawab aata ho usi ka jawab de warna chup rahein.nahi to aap apni value ghata lenge.
- Baaki upar wale rules follow kijiye.hai na asaan?
- Tution ki ladkiyo se dosti kaise kare janne ke liye niche padhe.
Ladkiyo Se Dosti Kaise Kare
Ladkiyo se dosti Kaise kare? ladkiyon se dosti karne ke liye aapko kuch jruri baato ka dhyan rakhna padega or wo hain
- Jyada loud awaaz mein na bolein.
- Ladki ke saamne kisi se ladai jhagda na karein.
- Abhadra bhasha ka prayog na karein.
- Acche kapde pehne,well dressed rahein or kapde bhi neat,clean or iron kiye hue pehne.
- Ladki ko chote chote gift dein.
- Teacher se bina baat ke sawal na puche or behas na karein.
- Har waqt majak na karein,aap joker nahin hain.
- Ladki ka uske homework me help karein.
- Uski taarif karein,jese agar usne koi question solve kiya ho ya aapko uske kapde acche lag rahein ho to uski tarif kijiye.
Leave a Reply