Phone Se Virus Kaise Hataye : Aajkal mobile me virus aana koi badi baat nahi hai, lekin agar aapke mobile phone me virus aa jaye to aapka phone thik se kaam karna band kar deta hai. Or phone ke andar kaafi samasya aane lagti hai, jese phone ka khud chalne lagna, chalte chalte switch off jana, kafi log nahi jante ki “mobile phone se virus kaise hataye”, to aaj hum aapko batayenge ki mobile se virus kaise hataye or virus hatane ke liye apps.
Phone Me Virus ki Jankari
Aamtor par shuruwat me jab hamare phone me virus aa jata hai to hume pata nahi chalta,baad me jab phone thik se kaam nahi karta to hum ise phone ka fault maan lete hai,isiliye aapka ye janna jaruri hai ki aapko “phone me virus ki jankari” kaise milegi,to aaiye jante hai ki aapko phone me virus ki jankari kaise hogi
- Aapka phone bar bar hang hone lagta hai yeh mobile phone me virus hone ke wjah se hota hai.
- Aapka phone chalte chalte switch off hone lagta hai.
- Aapka phone khud se apps kholne lagta hai.
- File transfer karna slow ho jata hai.
Mobile Virus Kaise Banate Hai
Mobile virus kaise banate hai ye janna aapke liye bahut jaruri hai, to aaiye jante hai ki aapke mobile me virus kaise bante hai.
Tips : Bluetooth se file transfer karne se aapke phone me kabhi virus nahi aata.
- Agar aap kisi anya mobile se apne phone me koi bhi file transfer karte hai, to uss se bhi aapke phone me virus aa sakta hai.
- Agar aap internet se koi file download karte hai to uske sath kbhi kbhi virus bhi download ho jate hai.
- Agar aap kisi anya user ka memory card ya USB lagakar file transfer karte hai or unke memory card ya USB me virus hai to wo aapke phone me bhi aa jayenge
Virus Delete Karne Wala Apps
Aapke mobile ke app store me aapko virus delete karne ka apps mil jaynege, inme kuch acche hai or kuch itne kushal nahi hote ki aapke mobile ke “virus saaf” kar sake. To aaiye aapko kuch aise acche “virus delete karne wala apps” ke bare me batate hai.
- virus delete karne ka apps | virus saaf karne ka apps | virus hatane ka apps
- Avast- avast ek bahut hi accha virus saaf karne ka apps hai, ye aapke mobile me ghuse virus ko jadd se ukhad dega or aapke mobile ki privacy ko bhi protect karta hai.
- AVG- AVG bhi ek bahut accha virus delete karne ka apps, ye bhi avast ki tarah hi kaam karta hai.
- 360 security antivirus- ye app na kewal virus hatane ka apps hai balki aapke mobile ki RAM ko khali rakhne me bhi madad karta hai. Ye bhi ek bahut achha virus saaf karne ka app hai.
- CM security- cm security bhi ek bahut accha virus delete karne wala app hai.
Leave a Reply