To chaliye aaj hum sikhte hai ghar bethe 30min mai oreo biscuit ka cake ghar par kaise banaye jo ki bhut hi tasty aur bacho or bado dono ka hi favourite hota hai to chaliye shuru karte hai bnana “Oreo Biscuit Ka Cake“.
Oreo Biscuit Ka Cake Banane Ke Liye Samagri
Oero biscuit ka cake ghar par banane ke liye hum bss luch hi samagri ki jaruat pdegi jo ki aapko aapke ghar pr mil jaygi aapko ghar se bahar jaakar market se bas 1 pouch Eno or Oreo biscuts ke 3 packet lane honge.
- Oreo biscuit – 3packet
- Milk – 1 glass
- Sugar – 2full spoon
- Oil
- Eno
Oreo Biscuit Ka Cake Banane Ki Vidhi
- Sabse phle hume biscuit or chini ko mixi mai grind krlena hai
- Or fr use ek bowl mai dalkr usme milk to add krke uska ek acha smooth sa batter ready krna hai
- Fir us batter m oil or eno add karke ek plastic bowl ko oil se Grease krke use 10min k lie oven mai heat krna or bs cake ready..
Bina Oven ke Ghar Par Oreo Biscuit Ka Cake Kaise Banaye
Agar aapke ghar par oven nai hai to koi tension ki baat nhi hai, humne jo same batter Oreo Biscuit Ka Cake banane ke liye tayar kiya tha, ussi batter se hum cake ko gas pr bhi bna, janate hai kese.
- Idli stand lena hai or usme namak dalkar 1/4 hissa namak se bharden.
- Or fir usse tej gas pr pre heat krle 5min, fir gas ko madham krle.
- Ab ek bowl le jis me aap apne cake ka batter dalkar usse bnanana chati hai, or usse butter se Grease krle charo trf se, mtlb ki bowl ki andr charo trf butter lgade jisse ki cake bowl ke andr chipk na jaye.
- Ab bowl ke andar oreo biscuit ka cake ka batter dalde fir uss bowl ko idli stand mai 15 se 20min tak upr se idli stand ko dkh kr pakaye.
- 15 se 20min baad apne oreo cake ko tooth pick se check krle ki oreo cake ke andr se pk gya hai ya nhi, agr tooth pick saaf nikli mtlb apka cake ready hai.
- Enjoy kre apne Oreo Biscuit Cake ko.
Oreo Biscuit Ka Cake Ghar Par Kaise Banaye
Leave a Reply