Potato Cheese Balls Recipe : Banaye or serve kare apne parivar, friends ko humari ye dishi “Potato Cheese Balls Recipe in Hindi” by Sanjeev Kapoor.
Potato Cheese Balls Banane ke liye Samagri
- Boil Aloo – 4
- Cheese – 1 Cup (Kaddukash kiya hua)
- Hari Mirch – 3 (Barik katti hui)
- Adrak – 1/2 chammach (Barik katta hua)
- Lehsun – 1 chammach (Barik katta hua)
- Lal Mirch Powder – 1/2 Chammach
- Haldi Powder – 1/2 Chammach
- Dhanniya Patti – 2 Chammach (Barik katti)
- Bread ka chura – 2 Chammach
- Namak – Swadanusar
- Tel – Jaruat ke hisab se
Potato Cheese Balls Recipe Banane ki Vidhi
- Sabse pehle uble huye aloo ko cheel le.
- Ab ek bartan me aloo, hari mirch, adrak, lehsun, lal mirch powder, dhaniya patti, namak, or braed ka chura mila ke ache se mess karle.
- Ab ek kadhai me deep fry ke liye tel garam kare.
- Allo ko 12 hisso me baantle or choti choti lonyi banale.
- Apni hatheli apr thoda sa tel lagaye or or loyi ko hath me lekar usme kaddukhas kiya hua chees bhare or band karde.
- Ab inn potato cheese balls ko tel me deep fry kare, sunhera hone tak bhunne.
- Ab Cheese potato balls ko Sause ya chutney ke sath serve kare.
Ye bhi padhe or jane:
Hari Dhaniya ki Chutney Kaise Banaye
Amla Chutney Kaise Banaye
Potato Cheese Balls Recipe in Hindi
Leave a Reply