Zarda Recipe in Hindi, Zarda Recipe in Hindi, “Zarda Recipe in Hindi” | Meetha Pulav
Zarda Recipe ke liye Samagri
- Basmati Chawal 200gm
- Desi Ghee
- Mawa ( Kaju, Badam, Giri ,Kishmish)
- Kesar 1/2 Tablespoon
- Elaichi 4-5
- Sugar 200-250gm
- Loung 5-6
- Milk – 2cup
- Mava/Khoya – 100gm
- Food Color ( Orange )
Meethe Chawal Recipe Banane ki Vidhi :
- Sabse pehle Chawal ko dhoke Pani me Soak/bhigo ke rakhe 30 minute k liye
- Ab Bartan le or usse chawal ki matra se jyada pani le or use garam hone de.
- Jab pani me ubal aajaye toh usme bhigoye huye chawal dale.
- Chawal ko pakaye 1/3 pakaye fir usse chalni dar bartan me nikale or rakde
- Kadai rakhe dheemi aanch pe usme Deshi ghee dale or halka garam kare.
- Sabse pehle Mawa ( Kaju, Badam, Giri ,Kishmish) ko bhune or nikal le.
- Kadai me thoda ghee or dale garam hone de , Loung Elaichi ghee me tadkaye.
- Ghee me chawal dale or acche se milaye uske baad 2 cup milk dale sath hi kesar milaye.
- Jab dudh ki matra kam ho jaye to chawal me fir cheeni dale or milaye .
- Chawalo ko dhak de or 5-7 minute k liye pakaye.
- Chawalo me cheeni ghul jaye or chawal pak jaye toh usme mawa dale or milaye .
- Upar se mawa dale or dhak ke rakhde 5min ke liye , Apke swadisht meetha pulav taiyaar hai khane ke liye.
Leave a Reply